Baat Bahut Mamuli Hai

रात तब नहीं होती जब अंधेरा आ जाता है,
रात तब होती है जब उज़ाला चला जाता है……
बात बहुत मामूली है…..इसिलिये तो खास है…..!

दर्द तब नहीं होता जब कोई भुला देता है,
दर्द तब होता है जब वो याद बहुत आता है……..
बात बहुत मामूली है…..इसिलिये तो खास है…..!

Wo Kehti hai Suno Jana Muhbbat Moom Ka Ghar Hai

Wo Kehti hai Suno Jana
Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko

Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho
Muhbbat Ho Nai Sakti

Wo Kehti Hai Sada Aisay He
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nai Sakti

Main Kehta Hoon
Muhbbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Muhbat K Siwa
Kch b Nai Ata

Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nai Hai Ab

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Muhbbat Main
Judai Saath Chalti Hai

Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye

Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nai main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain


wo kehti hai tumhien muj say
muhbbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon

main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi

wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko buht
keemti mehsoos kerti hoon

main kehta hon
Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon

wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhbbat hai

main kehta hoon
muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi muj say
tumhari baat kerti hai

wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darta ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya

wo kehti hai
Atif ji buht baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
buht he shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain

Koi Deewana Kehta Hai

Poet: Dr. Kumar Vishwas

Koi deewana kehta hai,koi paagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bus pagal samajhta hai
mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai

Mauhabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani thi
yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain
jo tu samjhe to moti hai, naa samjhe to paani hai

samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta
ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta
meri chahaht ko apna tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta

Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama
hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama
abhi tak doob kar sunte the sab kissa mauhabbat ka
mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama

Salone Piyaa

Mere piyaa sanwale salone hain,
We bal buddhi aur guno ki khaan.
Aur mere is shareer ke kaleje hain.
Salone piyaa mere dil ke raja hain.
Priy kyon na hon?
Kyonki Shriram,Shrikrishna bhi to sanwale the.
Piya ko dekhkar main kho ati hoon is kadar,
Ki unke manmohak roop se hattee hi nahi meri najar.
Suhagrat ko jab unse meri bhent huee to,
Main unhe dekhte hi anandvibhor huee.
Unkee meethee meethee baton se mujhe maadak ehsaas hone lagaa,
Aur main unke sparsh se hi madhosh ho gayee.
Kaise kahoon ki wo pal bhi jaise thahar gaya tha,
Us raat pyar ka rang bhi gahraa tha.
Us raat main tan man se unke prati samarpit thi,
Kyonki main hoon unki ardhaanginee.
Saat janmon ka unka mujhse rishta hai,
Isliye main hoon unki jeevansanginee.
Main ishwar se hamesha prarthna karti hoon ki,
We hamesha jindagee ke har mod par kamyab hon.
Wo hamesha khush rahein aur safltaa unke kadam choome.
Kyonki unki haar mein meri haar,
Unki jeet mein meri jeet hai.
Main unhe apni aakhon ke saamne,
Jindagee bhar sahi salaamat chaahtee hoon.
Bhale hi uske liye,
Mujhe apni jindagee kurbaan karni pade.
Maine ki hain kaee galtiyaan,
Jise unhone hanskar ansunaa kiya hai.
Mujhe apnaa jeevansathi mankar mere,
Berang jeevan ko rangeen banaa diya hai.
Ishwar se main yahi prarthnaa karti hoon ki,
Hamaaraa paawan rishta janmon janmon tak amar rahe.
Prasann ho vidhata mujhpar itnaa ki,
Meri maang ka sindoor hameshaa ujaagar rahe.

Suhagrat

Suhagrat ki madhur belaa,meri dhadkan mein bas gayee hai.

Us raat mujh per chhaayaa tha, ek ajab saa nashaa.

Kyonki us rat unka jalwaa,ban gayaa tha kahkashaa.

Suhagrat ke baad piya se, meri preet badh gayee hai.

Jeevan bhar us rat ki khooshboo, mere tan badan mein chhaaee rahegi.

Kyonki us rat ki haseen yaadein,mere jeevan ki parchhaee rahengee.

Us rat piya ke roop mein mujhe,ek sachha dost mila.

Jisse khulkar kar sakoon main, har ek shikwaa gilaa.

Salone piya ka pyaar paakar,main sanwar gayee hoon.

Sirf unke jism mein hi nahi,unki rooh mein bhi utar gayee hoon.

http://www.india-forums.com/tellybuzz/images/uploads/149_yehrishta.jpg

Koi deewana kehta hai,koi paagal samajhta hai

Koi deewana kehta hai,koi paagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bus pagal samajhta hai
mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai

Mauhabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani thi
yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain
jo tu samjhe to moti hai, naa samjhe to paani hai

samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta
ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta
meri chahaht ko apna tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta

Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama
hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama
abhi tak doob kar sunte the sab kissa mauhabbat ka
mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama

Kaho na ..

Kuchh kaho na !

dilse

Sau janam ka saath apna,
Sans ka dhadkan se jaise,
Aas ka jeevan se jaise,
Kaise kate saal solah,
Shyam ki jogan ke jaise.
Jhoot ke parde na dhoondo,
Sach kaho na .
Kuchh kaho na ..
Ek dooje ke liye ham,
Haath main kangan ke jaise,
Pyaas main sawan ke jaise,
Roop ko darpan ke jaise,
Bhakt ko bhag_van ke jaise.
Jheel si simtee na baitho,
Kuchh baho na .

Kuchh kaho na ..
Jaanata hoon thak gayee ho,
Umr ke lambe safar se,
Saanp se dasate shahar se,
Aas se aur aansuon se,
Bheed ke gahare bhawanar se.
Waqt firata hai suno,
Itna daro na .

Kuchh kaho na ..
Kis tarah ladatee rahi ho,
Pyaas se parchhaiyon se,
Neend se , angadaiyon se,
Maut se aur zindagi se,
Teej se ,tanahaiyon se.
Sab tapasya tod dalo,
Ab saho na
Kuchh kaho na !!

Garmiye hasrat

Garmiye hasrat ke nakam se jalte hai,
Hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai.
Jab aata hai tera naam mere naam ke saath,
Naa jano kyon log hamare naam se jalte hai.

http://www.quotexite.com/images/thumbnailitems/Quote-Wallpapers/quote-wallpaper2.jpg

TUm

Pehli saans
Mere din ki pehli dhoop
Chaand ki pehli kiran

Pehla geet
Baarish ki pehli boond
Tum sheeth ki pehli kampan
Usne bheja tumhe mere liye...
Soone dil ki tum dhadkan....

Saanson mein jo mere kwaabon mein jo... woh ho tum....
Raaton mein jo meri baaton mein jo....woh ho tum....

Pehli saans
Phoolon ki tum khushboo
Pehli jeet tum pehli haar..

Pehla geet
Phoolon ki pehli raat
Tum hi ho mera pehla pyaar.......

Usne bheja tumhe mere liyee...
Mere dil ki tum dulhan

Saanson mein jo mere kwaabon mein jo... woh ho tum....
Raaton mein jo meri baaton mein jo....woh ho tum....woh ho tum.......

Saanson mein jo mere kwaabon mein jo... woh ho tum....
Raaton mein jo meri baaton mein jo....woh ho tum....

http://img.youtube.com/vi/Pg4cP4P1CdA/0.jpg

Hai Yeh Chahat Ka Ishara

Dil Mera Chahe Tujh Pe Ana
Dekha Maine Tujhko To Yeh Jana
Dil Kab Hota Hai Deewana
Dekha Maine Tujhko To Yeh Jana

Teri Khushbu
Sang Hui Hai
Saans Yeh Mujh Par
Tang Hui Hai

Chori Chori Lagan Ho Jaya
Tera Mera Milan Ho Jaya
Chori Chori Lagan Ho Jaya
Tera Mera Milan Ho Jaya

Kabhi Chilman
Kabhi Jalwa
Hai Yeh Chahat Ka Ishara

Aankh Lar Jaati Agar Pehle To
Liye Phirte Na Yun Man Ko
Teri Jaisi Mil Jati Pehle To
Liye Phirte Na Yun Man Ko

Der Se Hamko
Yun To Mili Ho
Shukar Khuda Ka
Mil To Gayi Ho

Kahe Ko Tu Hammey Satayereya
Kaheen Din Beete Na Jayeraya
Kahe Ko Tu Hammey Satayereya
Kaheen Din Beete Na Jayeraya

Kabhi Chilman
Kabhi Jalwa
Hai Yeh Chahat Ka Ishara

Unke Deedar Se

Unke deedar se din ki hoti hai shuruvaat
Unke shringar se khilti hai apni har raat
Unke liye dil mein hai kuch meethe se jazbaat
Aur unke pyar pe kurbaan hai saari ye kaynaat

Khwaab

Bechaini tadpaye jab unki yaad aye,
Humari khuli bahein unhe hi bulaye,
Hume pata hai ki who ek khwaab hai,
Khwaabon mein who hume yun hi tadpaye !!!

Apki Yaad Naaaaaaaa>>>>>>>>......!


Aapki yad na aaye to hum bewafa,

Aap bulao aur na aaye to hum bewafa,

Hume maarne k liye khanjar ki zarurat nahi,

Ek bar nazar fer lo,

Na mar jaye to hum bewafa,

zindagi se ................!


Zindagi se sabhi ko mohabbat hai,

par zindagi kisiki mehboob nahi banti,

tamanna leker jeete hain sab log,

magar har tamanna "TAQDIR" nahi banti

Kisike Dil Me...............!


Kisike dil me basna bura to nahi,

kisiko dil me basana khata to nahi,

gunah hai ye zamane ki nazar me to kya hua,

zamaane wale bhi insaan hain khuda to nahi.

Unhone Hame................!


Unhone hame bhule se yad na kiya


Par hamne unki yaad mein sab kuchh bhula diya

Unhone wada to kiya tha khwab me milne ka

Ye hamari badnasibi ki hame nind hi nahi aai…!

Bahut Chaha Usko..............!

Bahut chaha usko jise hum pa na sake,

Khayalo me kisi or ko le na sake.

Usko dekh ke aansoo to ponch liye,

Lekin kisi or ko dekh ke muskura na sake

Chahat Wo Nahi....................!

———— ——— ——— ——— ——–
Chahat wo nahi jo jaan deti hai,

Chahat wo nahi jo muskaan deti hai.

Ae dost chahat wo hai,

Jo pani mein gira aansoo pehchan leti hein.
———— ——— ——— ——— ——–

Haqikat JAan Lo.......!

———— ——— ——— ——— ——–
Haqikat jaan lo juda hone se pahle,

Meri sun lo apni suna ne se pahle.

Ye soch lena bhulane se pahle,

Bahut royi hein ye aankhen muskurane se pahle.
———— ——— ——— ——— ——–

]]]Dard se hath.........!

Dard se hath na milate to or kya karte,

Gam ke aansoo na bahate to or kya karte.

Usne maangi thi humse roshni ki dua,

Hum khud ko na jalate to or kya karte.
———— ——— ——— ——— ——–