Mere piyaa sanwale salone hain,
We bal buddhi aur guno ki khaan.
Aur mere is shareer ke kaleje hain.
Salone piyaa mere dil ke raja hain.
Priy kyon na hon?
Kyonki Shriram,Shrikrishna bhi to sanwale the.
Piya ko dekhkar main kho ati hoon is kadar,
Ki unke manmohak roop se hattee hi nahi meri najar.
Suhagrat ko jab unse meri bhent huee to,
Main unhe dekhte hi anandvibhor huee.
Unkee meethee meethee baton se mujhe maadak ehsaas hone lagaa,
Aur main unke sparsh se hi madhosh ho gayee.
Kaise kahoon ki wo pal bhi jaise thahar gaya tha,
Us raat pyar ka rang bhi gahraa tha.
Us raat main tan man se unke prati samarpit thi,
Kyonki main hoon unki ardhaanginee.
Saat janmon ka unka mujhse rishta hai,
Isliye main hoon unki jeevansanginee.
Main ishwar se hamesha prarthna karti hoon ki,
We hamesha jindagee ke har mod par kamyab hon.
Wo hamesha khush rahein aur safltaa unke kadam choome.
Kyonki unki haar mein meri haar,
Unki jeet mein meri jeet hai.
Main unhe apni aakhon ke saamne,
Jindagee bhar sahi salaamat chaahtee hoon.
Bhale hi uske liye,
Mujhe apni jindagee kurbaan karni pade.
Maine ki hain kaee galtiyaan,
Jise unhone hanskar ansunaa kiya hai.
Mujhe apnaa jeevansathi mankar mere,
Berang jeevan ko rangeen banaa diya hai.
Ishwar se main yahi prarthnaa karti hoon ki,
Hamaaraa paawan rishta janmon janmon tak amar rahe.
Prasann ho vidhata mujhpar itnaa ki,
Meri maang ka sindoor hameshaa ujaagar rahe.
सर्द रातें बढ़ा देती है
सप्त-अरण्यक सप्त-सैन्धव
Time Mantra
कॉलेजों में मिलती होंगी डिग्रियां
तेज़ धुप में झुलस गए
रब" ने नवाजा हमें *जिंदगी* देकर;
dil chahta hai kuch aisa ho jaye
अभी सूरज नहीं डूबा
3-CHIZE ZINDAGI Me1 Baar Milti Hain
छोटी सी हरकत
छोटी सी हरकत महफ़िलो में जा उजागर करते है ...
दुश्मनों की मेहरबानी दोस्तों से ज्यादा खबर रखते है ...
Road k kinare
Road k kinare
park me
mandir k bahar
church k samne
station par
ya bed par jaha b soye huve pade huve ho
ab uth jao subeh ho gayi hai.
Gm
Baat Bahut Mamuli Hai
रात तब नहीं होती जब अंधेरा आ जाता है,
रात तब होती है जब उज़ाला चला जाता है……
बात बहुत मामूली है…..इसिलिये तो खास है…..!
दर्द तब नहीं होता जब कोई भुला देता है,
दर्द तब होता है जब वो याद बहुत आता है……..
बात बहुत मामूली है…..इसिलिये तो खास है…..!
Wo Kehti hai Suno Jana Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Koi Deewana Kehta Hai
Koi deewana kehta hai,koi paagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bus pagal samajhta hai
mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai
Mauhabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani thi
yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain
jo tu samjhe to moti hai, naa samjhe to paani hai
samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta
ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta
meri chahaht ko apna tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta
Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama
hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama
abhi tak doob kar sunte the sab kissa mauhabbat ka
mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama
Salone Piyaa
Suhagrat
Suhagrat ki madhur belaa,meri dhadkan mein bas gayee hai.
Us raat mujh per chhaayaa tha, ek ajab saa nashaa.
Kyonki us rat unka jalwaa,ban gayaa tha kahkashaa.
Suhagrat ke baad piya se, meri preet badh gayee hai.
Jeevan bhar us rat ki khooshboo, mere tan badan mein chhaaee rahegi.
Kyonki us rat ki haseen yaadein,mere jeevan ki parchhaee rahengee.
Us rat piya ke roop mein mujhe,ek sachha dost mila.
Jisse khulkar kar sakoon main, har ek shikwaa gilaa.
Salone piya ka pyaar paakar,main sanwar gayee hoon.
Sirf unke jism mein hi nahi,unki rooh mein bhi utar gayee hoon.

Koi deewana kehta hai,koi paagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bus pagal samajhta hai
mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai
Mauhabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani thi
yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain
jo tu samjhe to moti hai, naa samjhe to paani hai
samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta
ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta
meri chahaht ko apna tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta
Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama
hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama
abhi tak doob kar sunte the sab kissa mauhabbat ka
mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama
Kaho na ..
Kuchh kaho na !
| Sau janam ka saath apna, Sans ka dhadkan se jaise, Aas ka jeevan se jaise, Kaise kate saal solah, Shyam ki jogan ke jaise. Jhoot ke parde na dhoondo, Sach kaho na . Kuchh kaho na .. | |
| Ek dooje ke liye ham, Haath main kangan ke jaise, Pyaas main sawan ke jaise, Roop ko darpan ke jaise, Bhakt ko bhag_van ke jaise. Jheel si simtee na baitho, Kuchh baho na . Kuchh kaho na .. | |
| Jaanata hoon thak gayee ho, Umr ke lambe safar se, Saanp se dasate shahar se, Aas se aur aansuon se, Bheed ke gahare bhawanar se. Waqt firata hai suno, Itna daro na . Kuchh kaho na .. | |
| Kis tarah ladatee rahi ho, Pyaas se parchhaiyon se, Neend se , angadaiyon se, Maut se aur zindagi se, Teej se ,tanahaiyon se. Sab tapasya tod dalo, Ab saho na Kuchh kaho na !! | |